Pages

Friday, October 26, 2012

Begum Nusrat Bhutto, Madar-e-Jamhooriat

23rd October 2012:
Begum Nusrat Bhutto
 
Begum Nusrat Bhutto "Madar-e-Jamhooriat" ki aaj (23rd October 2012) pehli barsi hai. Woh Pakistani aurat ke liay aur khaas taur per People Party ki aurat ke liay aik misaal hain. Unho ne jis tarha apnay shauhar Zulfiqar Ali Bhutto ki shahadat ke baad apni party ko sambhala, workers ki rahnumai ki aur intiqaam ki siaasat chhor ker her aik siaasatdaan ke sath mil ker mulk-o-qaum ke liay kaam kaisay kertay hain yeh unho ne zamanay ko dikha diya aur jaisay apni naujawan beti ko mulki siaasat mei waqt ke taqazay ke mutabiq kirdaar ada kernay ke liay tayyar kiya, ye bhi Begum Bhutto ka khasa tha.
Hum sab People's Party ke logon ke gham mei barabar ke shareek hain aur fakhar kertay hain keh Begum Nusrat Bhutto jaisi khatoon hum mein maujood theen. Khuda unki maghfirat keray aur unke darajaat buland keray. Amin!


Madar e Jamhooriat

Begum Nusrat Bhutto Madar-e-Jamhooriat hai
Dekho kis nishaan se iska jaana hai

Aamar ke daur mein juh'd-e-musalsal khatoone awwal
Yeh aaj zamanay ne maana hai

Aurat ke jo roop hai saray woh isne dikhlaiy
Achi biwi achi maa, Leader jurrat mandaana hai

Dictator koi jernail (General) ho Aamer koi bhi ho
Sisa pilai deewar ban jao, yeh iska farmana hai

Shaheed ki biwi Nusrat Bhutto sabar ka pekar thi
Shaheedo ki maa aurat ka roop yeh mastaana hai

Usko dekho, isse seekho aey logo!
Jo bhi kathan daur ho, waqt tou guzer jana hai

Mut samjho ke juhade musalsal ka hua ekhtataam
Ye samajhna theek nahi tumhe yeh batlana hai

Yeh tou hai aaghaz aik naiy zamanay ka
Behter se behtereen isko banana hai

Aey Bhutto ke janasheeno! iss waqt ko pehchano!
Ye hai paak dharti, Islam ka qilla isay banana hai

Jayyalo! Pehchano keh tum kaun ho kya ho?
Kaarkuno! sab mil jao, hausla tumhe banana hai

Agay barho! mulk ki taraqqi mei hath batao
Auj-e-Surraya tuk isko pohanchaana hai

Maa nahi tou kya hua asool tou iske baaqi hain
Khud bhi seekho doosron ko yeh sikhlana hai

Maa tou hai Jannat, dharti per Khuda ki
Jiyyalay iske betay hain dunya ko dikhlana hai

Aey maa tu kitni saada thi kitni pyari thi
Hum sab ka lo salam, ye zikr tumko pohanchana hai

Kitni muddat se tu hasraton mei hi dekhti rahi
Tum surkharoo hui, aaj ye dunya ne maana hai

Allah tumhe jannat de, darjaat tumhare buland hon
Beshak hum Usi ke hain, Uski taraf laut ke jana hai

Aey maa yeh waada hai tumse aaj ke din
Paak watan hai jannat hamari, dushmano se isay bachana hai

Hamnawa hon ya mukhalif hon, hum sab aik ho jain
Siaasat ko jamhooriat ko fakhar humain banana hai

Abhi kuch gharriaan baqi hain subha ke honay mein
Dayanatdari aur jurrat ko sheva tumhe banana hai

Begum Nusrat Bhutto madar-e-jamhooriat hai
Dekho kis shaan se iska jaana hai

0 comments:

Post a Comment

ShareThis