Pages

Tuesday, May 29, 2012

Naiy Saal ko Khush Aamded kahain


Let's welcome all new years to come


Ao naiy saal ko khush aamded kahain hum
Naiee ummeedon ki chahat aur khushion ke sath

Badal dalain puranay khado-khaal ki siah raat ko
Naiy saal ke suraj ki haseen kirnon ke sath

Jo kotahian aur khamian reh gaieen kuch
Dur ker len naiee koshishon aur himmaton ke sath

Ao apnay bachon ko madad den agay barhnay mei hum
Chhor andheray chalain sitaron ki roshnion ke sath

Naiy saweray muntazir rehtay hain unke
Jo barhain josh-o-jazbay aur walwalon ke sath

Zara sa agay barhnay ki der hai saathio!
Manzil pao ge tum naiee rahain talaashnay ke sath

Ifaq ke uss paar naiy jahan intezar kertay hain
Qaum barhao, pao ge khud ko naiee dunya ke sath

Zindagi apni tou ibarat hai Juhad-e-musalsal se
Jis ne jaan liya hai who hai kaamrani ke sath

Kirdaar ki tameer ka tum khaas dhyaan rakhna
Naiy saal mei qadam rakho badi pakeezgi ke sath

Ao naiy saal ko khush aamded kahain hum
Naiee ummeedon ki chahat aur khushion ke sath

Ik Haseen Basti


Ye dunya dukh sukh ka ik haseen sa sangam hai
Tou kyun na insano ki ik basti basa dalain

Who basti jis mei khoobsurat se bagheechay hon
Tou kyun na iss basti ko jannat si bana dalain

Phir iss basti mei akhuwat bhi jhalakti ho
Thanday meetay pani ki nehrain si bichha dalain

Jahan ilm-o-adab ki shamain hi shamain roshan hon
Khiltay huay phoolon ki nurserian bhi bana dalain

Phoot’tay shagoofon ko aazadi ki fizain hon
Rang barangi titilion ke des bhi saja dalain

Khoobsurat aman ka khitta tou maujood hai
Nusrat apnay hissay ka kuch kaam tou ker dalain

                                     By Nusrat Hassan
Friday, May 18, 2012

'Maa' - Mother's Day

Today I am going to publish my very first poetry on our blog and dedicate this poem to my mother. I intended to post this a few days back on mother's day but I was in my birth place Gujrat with my mother so I am doing it now. Enjoy



Maa tu meri hasti mei jhalakti hai
Maa tu meri rooh mei basti hai

Jahan maa hai woh veerana bahaar hai
Maa ki khushboo mei phoolon ki mehkaar hai

Ger maa kay damm se veerana bahaar hai
Tou socho des ki maain kahan hain

Mere des mei jo figaar-o-fishaar hai
Bhook nang aur zulm ka laga bazaar hai

Jis khittay mei aag kay sholay barastay hain
Tou socho uss khittay ki maa kidher hai

Ager tum khoi maa ko dhoond lao kahin se
Ager tum roothi maa ko mana lo abhi se

Maa tou jannat ha zameen per Khuda ki
Phir kyun yeh hum ko nazar nahi aati

Kya yeh sab betay maa ko pyar nahi kertay
Kya inke dil mei maa nahi rehti

Maa tou Khuda ki rehmaton ka roop hai
Maa mohabbat hai, Mohabbat Khuda hai

Aey mere des kay naujawano!
Tum tou maa hi ko socho her damm

 Keh maa kay damm se yeh arz-e-paak jannat banay

Maa ke damm wadam se jannat mei phool khilain

Tum apni hasti mei basa lo maa ko
Phir jhalak basti ki dikhla do jahan ko

Keh her din hi maa ka din kehlaiy
Her pal iss din ka her dil ko mehkaiy

Aey mere Maula mehka de iss gulistaan ko
Maa ke sadqay aabaad rakh Pakistan ko

Khuda ko aik manain tou hain hum musalmaan
Ho ibadat ager maa ko manain maa


My mother with my husband

ShareThis