Pages

Sunday, August 25, 2013

Badi hi Pyari Maa 'Madam Yusaf' ke Naam - Qarz Hai Chaar Phoolon Ka

Tribute to a lady who has been a model role in so many others and my life and whose sole purpose was to educate which was her mission and she succeeded and gained so much love and respect not only as the principal of National Finishing School but as a great benefactor to the teachers, students and her family. May you find a great place in heaven for your golden karma in this world. Ameen!


Aik daur tha jo guzer gaya
Aik zamana tha jo beet gaya

Gaiy dino ko dekho zara
Guzray lamhon ko socho zara

Maa ne jo poda lagaya tha
N.F.S ko badhaya tha

Usi ki tou hum shaakhain hain
Usi ke tou phool pattay hain

Ye jo hum mein rishta hai
Isi ko qaim rakhna hai

Mehnat ka jo rasta hai
Isi pe hum ko chalna hai

Aisay gauhar tou miltay hi nahi
Per isi ko jafa kehtay hain

Zindagi tou fana hai logon
Aisay gauhar ko baqa kehtay hain

Qarz hai tum per chaar phoolon ka
Isi ko shaan-e-wafa kehtay hain

Zaahri surat tou pinhaan ho gaiee
Matti ka dher bus ayaan hai

Aey Maa tu hai jannat ki vaadioun mein
Jahan tu hai jannat wahan hai

                                                      
(Tribute to a mother from Mrs. Hassan and all N.F.S members)
Tuesday, March 19, 2013

Scorpions negate their natural instinct in the dargah of Hazrat Shah Vilayat

Tuesday, January 1, 2013

Happy New Year 2013

On this amazing Happy new year 2013 I wish all a prosperous life, good health for my students, family members and all country beings. Please make new charters, goals, aims, achievement plans for coming year and do hard work trying to achieve them. Give and hand out small things to your surroundings and of course to your country. Believe in all this. It would and might seem like a small thing but this is an essence and a key to that gold chest of fortunes. Thank you.
                                                                          
Courtesy to the blog: http://yemmynisting.blogspot.com/2011/12/i-am-reaching-reaching-for-stars.html
Happy New Year 2013
Dunya; Aik Khoobsurat Aashiyana

Dunya tou khoobsurat aashiyana hai
Isko rehnay ke qabil banana hai


Beautiful Pakistan
Iss jagah jo jannat ke baagh jaisi hai
Kya barood se usko raakh banana hai


Paharron mei jo jawaharaat ke khazanay hain
Kya drone hamlon se unko jalana hai


Hamari taleem tou 'Iqra' se shurooh hoti hai
Kya tera kaam ischoolon ko girana hai


Masawaat-e-Muhammadi(SAW) mei sab insan barabar hain
Aurat mard ke liay, yaqeeni isay banana hai 


Sheeshon se guzray waqt ki gard saaf ker loon janaan
Humain khoobsurat chehray zamanay ko dikhana hai


Honton ko mut seeo, inse phool jharrnay do
Kyunkeh humne dunya ko gulistaan banana hai

                                                         by Nusrat Hassan

ShareThis