Pages

Monday, December 21, 2015

Jannat se Aik Khatt! (A Letter from Heaven)

Black Day (16-12-2015)

Ye Saniha 16th December, 2014 ko Pakistan ki tareekh ko sogwaar bana gaya. Aaj ke din hum Army Public School Peshawar ke saniha ke masoom shuhuda ke gham mei doobay huay hain. Koi dil aisa nahi hai jo khoon ke aansu na ro raha ho. Saal guzer gaya hai magar Khuda gawah hai keh 16th December, 2014 se 16th December, 2015 tuk koi din aisa nahi tha jab apni bebasi per matam na kiya ho. Hum se kya ghalati ho gaiee jiski padaash mei yeh zulm hua.



Tamaam school ke bachay hum se poochhtay hain keh hamara qasoor kya tha keh hamaray saathion ki aik darasgah ko aik maqtalgah bana diya gaya. Main jawab se qasir sochon mei gum thi keh yakayuk aik masoom sa farishta meri taraf badha aur aik khatt mere haath mei thama ker ghaib ho gaya. Yeh khatt aik paighaam hai.



________________________________________________________________________________

"Mere Pyaray Dosto!

Mai in bachon se mukhatib hoon jo kabhi mere sath, ya yun kehna munasib ho ga keh mai unke sath parhta tha aur aisay hi tamam Pakistani bachon se jo subha school janay ki tayari kertay hain; Mai yahan jannat ke aik baagh mein apnay doston ke sath hoon. Hamaray sath hamari teachers bhi hain jo humain dekh ker muskurati hain, Her taraf phool hi phool hain. Baghaat mei doodh ki nehrain behti hain. Her taraf noor ki shuaain jis cheez per parti hain woh heeray moti ki tarha chamak jati hai. Achay kaam aur achi soch ke jo loag iss dunya se Allah ke paas aa jatay hain woh hoorain ban jatay hain.

Mai yahan jannat mei kaisay pohancha mujhe sab yaad hai. Junhi uncle nein goliyaan chalaien mujhe farishton ne thaam liya aur jannat mei daal diya. Magar goliyaan chalanay walay uncle yahan per nahi hain. Ager goliyaan chalanay walay ya bomb pharnay walay logon ko jannat milay tou phir woh uncle bhi hamaray sath hotay.



Mere dosto aap abhi iss duniya mein ho. Jo loag gola barood ki training apnay gang ko masoom bachon ya nihattay loagon per chalanay ke liay detay hain aur batatay hain keh unhe jannat milay gi aur wahan hoorain milain gi. Woh jhoot boltay hain. Aap in logon ko mera paighaam do kwh woh aisa na kerain. Jo loagon ko maartay hain. Schools masjidon aur bazaron mei khudkush hamlay kerwatay hain un loagon ko koi jannat nahi milti. Ager aisa hota tou goliyaan marnay walay uncle
hamaray sath jannat mei hotay. Aap sab loagon ko ghar ghar mera paighaam pohancha do. Bomb blast aur goliyaan chalanay se jannat dozakh mei tabdeel ho jati hai. Jo dunya ko dozakh banatay hain Allah unko jannat nahi deta!



Thursday, August 13, 2015

Pyaray Shaheed Bachon ke Naam! - Pakistan Independence Day

Tamam Pakistanio ko (Chahay woh mulk mei hain ya mulk se bahir) Yaum-e-Aazadi mubarik ho. Rabbe Kareem hum sab ka Haami-o-Naasir ho. Aamin!

2014 hamaray bachon ke liay bada hi takleef deh raha hai. Aaj mai yaum-e-aazadi un logon ke naam kerna chahti hoon jinho ne apni zindagiyaan Pakistan ke liay waqf ker deen aur qurban ker deen. Hum shaheed bachon aur doosray shuhadaa ko nahi bhoolay. Saniha Peshawar ke bachay hon ya saniha Kasur ke ya saniha Model Town ke shaheed; hum kisi ko nahi bhoolay. Kisi bhi qaum ke liay ye baat badi sharamnaak hai keh woh apnay bachon ki jaan aur izzat ki hifazat na ker sakay.











Aik ustaad honay ke naatay tamam muhteram assaatza se darkhwaast kerti hoon keh bachon ko Pakistan ka qaumi tarana 'Paak ser zameen shaad baad' zarur sikhayen. Hum ne Pakistan badi qurbanion se haasil kiya hai. Iss naimat ki qadar kerna batayen.
Pakistan Zindabad!

Monday, April 6, 2015

36th Death Anniversary Bhutto - April 5, 2015

Maqam Faiz koi rah mein jacha hi nahin 
Jo koo-e- yaar se nikle to soo-e- daar chale

Lagta hai keh yeh sher Zulfiqar Ali Bhutto ke liay hi likha gaya hai kyun keh woh awam ke jhurmat se nikal ker daar pe charh gaiy. Jab woh sochtay thay tou lagta tha keh woh soch hamari hai. Jab woh baat kertay thay tou lagta tha keh baat hamari hai.
Aisa kaun hai jo iss mayaar pe aiy? Yaqeenan koi nahi. Aisa smart, chauq-o-choband, zaheen fateen jo apnay sath sath ummat e muslima ke baray mei bhi sochay.







Tum per hazaar naimatein nazil hon. Tumhare darajaat buland hon. Kasmaparsi kay iss daur mein tum bohot yaad aiy. 

Tum her sachay Pakistani ke dil mei ho aur aabad raho ge. Kaash mai tumhari tarha apni qaum ke liay kuch ker sakoon. Tum hamaray her dil azeez rehnuma ho.

Bhutto Zindabad!

ShareThis