Pages

Friday, July 18, 2014

Falasteen ke Musalmano ke liay Izhaar-e-Yukjehti - (A Tribute of Soldarity for the Palestinians)

Musalman aik jism ki maanand hain. Jis tarha jims ka koi uzv mubtilai-e-alm ho tou jism aaram nahi ker sakta bilkul usi tarah Muslim dunya ke kisi konay mein bhi reh raha ho tou doosray Musalman ki takleef  mehsoos kiay baghair nahi reh sakta. Hum Falasteen per Israel ke zulm dhanay janay per dukhi hain aur un ke dukh ka azaala honay tuk unke sath kharay hain. Maine aik chhoti se nazm mei soorat-e-haal ko wazih kernay ki koshish ki hai. Ummeed hai naujawan nasal kuch na kuch zarur samajh jaiy gi.




'Falasteen (Palestine) ke Musalmano ke Naam'

Aey Masjid-e-Aqsa! Hamari khushiyaan tou tere sath hain
Teri azmat ko hum salaam kertay hain
 Lahoo lahoo hamara Ramzan hai
Tere Shaheedo ko hum salaam kertay hain

Bani Israel mei hai kitni insaaniyat
Yeh tou Quran ne farma diya hai

Anbiaa (A.S) jab haq ki baat batatay thay
Yeh un ka tamaskhar uratay thay

Yeh tou Nabiyon ko qatal kertay thay
Khuda ke yeh sakht nafarmaan hain

Apni sarisht tou yeh nahi chorain ge
Hum tou Allah ke karam ke talabgaar hain

Apnay haq ke liay datay raho tum
Hum ik yukjehti ka kertay izhaar hain

                                                                                                    by Nurat Hassan
Wednesday, July 16, 2014

Ramzan Mubarik 2014

Pyaray Pakistan - 

Kafi arsa ke baad dobara likhnay ke liay waqt nikalnay ki bharpur koshish ki ja rahi hai ta keh taaza dam ho ker likhnay likhanay ka manqata silsala bahaal kerun. Iss tehreer mei Ramzan ul Mubarik ke babarkat maheenay mei mauqay ki munasibat se aaghaz kerti hoon aur aap sabko Ramzan ki rehmaton aur fayyuz-o-barkaat ki baarishon se mustafeed honay ki dua deti hoon. Allah Ta'la se istadaa hai keh Apnay Habeeb Hazrat Muhammad (Sallala Ho Elaihi Wasallam) ke sadqay hum sab per Apna karam farmain aur her Musalman ko taqat ata kerain keh jis maqsad ke liay issay dunya mei bheja gaya hai woh zimmedaari anjam de aur Ramzan ke barkat walay maheenay mein Ummat-e-Muslima ki kotaahion aur khataon ko muaaf kerain aur hum sab ki maghfirat kerain.
                                                          (Amin)


'Jashne Istaqbal-e-Ramzan'

Hum Istaqbal-e-Ramzan kerain
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Barkat wala yeh maheena hai
Iski azmatein bayaan kerain

Shaan-e-Ramzan tou yeh hai dosto!
Is mei humain ata Pakistan hua
Sabse badh ker yeh ehsaan hai
Keh iss maah mei nazool-e-Quran hua
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

Roza hai sirf Allah ke liay
Wohi deta hai iska ajar
Naimatein hain hazaar hum sab ke liay
Rehmaton ka bhi saaman hua
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

Ramzan mei kero khul ke naikiyaan
Sattar guna hai her naiki ka ajar
Bakhshwa lo sab gunaah apnay
Bakhshish ka bhi farmaan hua
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

Shabe Qadar bhi ismei hui ata
Hazaar shab se badh ker yeh raat hai
Jab farishtey utertay hain zameen per
Fajr tuk salamti ka farmaan hua
Chalo Jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

Mah-e-Sayyaam mei ibadatein kero tum
Rabb ko raazi kernay ka hai maheena
Rayan* rozadaar keh liay hai khula
Nusrat~ Aaqa (S.A.W) ka yeh farmaan hua
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

* 'Rayan' Jannat ka woh darwaza hai jo sirf rozadaar ke liay khulta hai' (Quoted by our Prophet P.B.U.H)

ShareThis