Pages

Wednesday, July 16, 2014

Ramzan Mubarik 2014

Pyaray Pakistan - 

Kafi arsa ke baad dobara likhnay ke liay waqt nikalnay ki bharpur koshish ki ja rahi hai ta keh taaza dam ho ker likhnay likhanay ka manqata silsala bahaal kerun. Iss tehreer mei Ramzan ul Mubarik ke babarkat maheenay mei mauqay ki munasibat se aaghaz kerti hoon aur aap sabko Ramzan ki rehmaton aur fayyuz-o-barkaat ki baarishon se mustafeed honay ki dua deti hoon. Allah Ta'la se istadaa hai keh Apnay Habeeb Hazrat Muhammad (Sallala Ho Elaihi Wasallam) ke sadqay hum sab per Apna karam farmain aur her Musalman ko taqat ata kerain keh jis maqsad ke liay issay dunya mei bheja gaya hai woh zimmedaari anjam de aur Ramzan ke barkat walay maheenay mein Ummat-e-Muslima ki kotaahion aur khataon ko muaaf kerain aur hum sab ki maghfirat kerain.
                                                          (Amin)


'Jashne Istaqbal-e-Ramzan'

Hum Istaqbal-e-Ramzan kerain
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Barkat wala yeh maheena hai
Iski azmatein bayaan kerain

Shaan-e-Ramzan tou yeh hai dosto!
Is mei humain ata Pakistan hua
Sabse badh ker yeh ehsaan hai
Keh iss maah mei nazool-e-Quran hua
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

Roza hai sirf Allah ke liay
Wohi deta hai iska ajar
Naimatein hain hazaar hum sab ke liay
Rehmaton ka bhi saaman hua
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

Ramzan mei kero khul ke naikiyaan
Sattar guna hai her naiki ka ajar
Bakhshwa lo sab gunaah apnay
Bakhshish ka bhi farmaan hua
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

Shabe Qadar bhi ismei hui ata
Hazaar shab se badh ker yeh raat hai
Jab farishtey utertay hain zameen per
Fajr tuk salamti ka farmaan hua
Chalo Jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

Mah-e-Sayyaam mei ibadatein kero tum
Rabb ko raazi kernay ka hai maheena
Rayan* rozadaar keh liay hai khula
Nusrat~ Aaqa (S.A.W) ka yeh farmaan hua
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

* 'Rayan' Jannat ka woh darwaza hai jo sirf rozadaar ke liay khulta hai' (Quoted by our Prophet P.B.U.H)

0 comments:

Post a Comment

ShareThis