Pages

Thursday, December 27, 2012

5th Death Anniversary of Shaheed-e-Jamhooriat Benazir Bhutto

26th December, 2012 (5th death anniversary of Benazir Bhutto)

Shaheed-e-Jamhooriat Muhtarma Benzair Bhutto ki paanchween barsi ke mauqa per tamam khawateen ko, amooman aur Muslimo Pakistani khawateen ko khasoosan salam pesh kerti hoon. Mai aik aurat hoon aur apni badi izzat aur qadar kerti hoon kyunkeh jo apni izzat aur qadar kerta hai woh doosron ki izzat ko bhi paa leta hai. Tamam auraton ko aurat honay per fakhar kerna chahiay kyunkeh aik aurat aurat aik waqt mei kaiee mahazon per ahsan tareeqay se zim-e-daarian ser anjaam de rahi hoti hai. Yeh durust hai keh aurat ko apni haisiyat manwanay ke liay mard se do gunah mehnat kerna perti hai. Ager khawateen ko thori support mil jaiy tou woh apni koshishon se mushkilaat per qabu per ker waqt ke dharay ko badal sakti hai aur kaamiabi haasil ker sakti hai.

Muhtarma Benzair ka safar hamaray liay rahnumai hai aur humain un per fakhar hai. Woh hamaray liay parion ki shahzadi hai. Hum unhein khiraaj-e-tehseen pesh kertay hain aur jannat mein unke darjaat ki bulandi ke duagoh hain. Maine iss mauqa per aik nazam likhi hai aur nazam ka unwaan hai;





"Pariyon ki Shahzadi"


Ik shahzadi rehti thi pariyon ke ik des mein
Khud bhi thi wo ik pari insano ke bhes mein


Pariyon jaisa rehna sehna tha iss shahzadi ka
Uski thi ik apni jannat jo usne aabad thi ki


Dekh saheli kya kiya hum ne sath iski jannat ke
Aya ik deo lutera jannat uski barbad thi ki


Kuch tou socho, kuch tou samjho, kuch hosh ke nakhun lo
Pehlay maa se bachay chheenay, pir bachon se maa hai chheeni


Kya mila tumhe yeh sab ker ke, ab tou yeh batla jao
Chaen ki neend tum sotay ho kaisay ger tum insan bhi ho


Kahan se chali thi woh shahzadi kya kya usne kaam kiay
Fakhar ho jisper dunya ko, aurat ko aisi shaan hai di


Mardon jaisa hausla uska, khud bhi jawan mard thi
Pakistan ki beti thi woh, mulk ki woh pehchaan thi


Jab usne yeh thaan liya qaum ki qismat badlay gi
Khatron se woh larr gaiee, jaan ki bhi parwah na ki


Utho jaago mere bhaiyo! Pakistan hamara hai
Shumalan janooban sab dharti, aisi sachi soch thi di


Mulsim dunya ki woh pehli khatoon wazir-e-aazam thi
Dukhter-e-mashriq Benazir yakjehti Pakistan ki thi


Bibi shaheed ka paighaam hum kabhi na bhoolain ge
Darjaat uske buland hon, hum ne yeh dua hai di 
(Aamin!)
Friday, October 26, 2012

Begum Nusrat Bhutto, Madar-e-Jamhooriat

23rd October 2012:
Begum Nusrat Bhutto
 
Begum Nusrat Bhutto "Madar-e-Jamhooriat" ki aaj (23rd October 2012) pehli barsi hai. Woh Pakistani aurat ke liay aur khaas taur per People Party ki aurat ke liay aik misaal hain. Unho ne jis tarha apnay shauhar Zulfiqar Ali Bhutto ki shahadat ke baad apni party ko sambhala, workers ki rahnumai ki aur intiqaam ki siaasat chhor ker her aik siaasatdaan ke sath mil ker mulk-o-qaum ke liay kaam kaisay kertay hain yeh unho ne zamanay ko dikha diya aur jaisay apni naujawan beti ko mulki siaasat mei waqt ke taqazay ke mutabiq kirdaar ada kernay ke liay tayyar kiya, ye bhi Begum Bhutto ka khasa tha.
Hum sab People's Party ke logon ke gham mei barabar ke shareek hain aur fakhar kertay hain keh Begum Nusrat Bhutto jaisi khatoon hum mein maujood theen. Khuda unki maghfirat keray aur unke darajaat buland keray. Amin!


Madar e Jamhooriat

Begum Nusrat Bhutto Madar-e-Jamhooriat hai
Dekho kis nishaan se iska jaana hai

Aamar ke daur mein juh'd-e-musalsal khatoone awwal
Yeh aaj zamanay ne maana hai

Aurat ke jo roop hai saray woh isne dikhlaiy
Achi biwi achi maa, Leader jurrat mandaana hai

Dictator koi jernail (General) ho Aamer koi bhi ho
Sisa pilai deewar ban jao, yeh iska farmana hai

Shaheed ki biwi Nusrat Bhutto sabar ka pekar thi
Shaheedo ki maa aurat ka roop yeh mastaana hai

Usko dekho, isse seekho aey logo!
Jo bhi kathan daur ho, waqt tou guzer jana hai

Mut samjho ke juhade musalsal ka hua ekhtataam
Ye samajhna theek nahi tumhe yeh batlana hai

Yeh tou hai aaghaz aik naiy zamanay ka
Behter se behtereen isko banana hai

Aey Bhutto ke janasheeno! iss waqt ko pehchano!
Ye hai paak dharti, Islam ka qilla isay banana hai

Jayyalo! Pehchano keh tum kaun ho kya ho?
Kaarkuno! sab mil jao, hausla tumhe banana hai

Agay barho! mulk ki taraqqi mei hath batao
Auj-e-Surraya tuk isko pohanchaana hai

Maa nahi tou kya hua asool tou iske baaqi hain
Khud bhi seekho doosron ko yeh sikhlana hai

Maa tou hai Jannat, dharti per Khuda ki
Jiyyalay iske betay hain dunya ko dikhlana hai

Aey maa tu kitni saada thi kitni pyari thi
Hum sab ka lo salam, ye zikr tumko pohanchana hai

Kitni muddat se tu hasraton mei hi dekhti rahi
Tum surkharoo hui, aaj ye dunya ne maana hai

Allah tumhe jannat de, darjaat tumhare buland hon
Beshak hum Usi ke hain, Uski taraf laut ke jana hai

Aey maa yeh waada hai tumse aaj ke din
Paak watan hai jannat hamari, dushmano se isay bachana hai

Hamnawa hon ya mukhalif hon, hum sab aik ho jain
Siaasat ko jamhooriat ko fakhar humain banana hai

Abhi kuch gharriaan baqi hain subha ke honay mein
Dayanatdari aur jurrat ko sheva tumhe banana hai

Begum Nusrat Bhutto madar-e-jamhooriat hai
Dekho kis shaan se iska jaana hai

Sunday, September 9, 2012

September 11 - Our Quaid's Jinnah Death Anniversary

I dedicate this post to my students!

As I belong to the teaching department and as you know that August is the month of our independence. The date to be exact is August 14th, September 6 is the Defence Day and September 11 is the day when Quaid-e-Azam passed away, so that's why I have written about Pakistan for now. Onwards you shall be reading my different posts too.

Quaid-e-Azam Muhammad Ali Jinnah is the founder of our nation. He managed to settle all the scattered nation on to one platform and set a direction to achieve the interpretation of Allama Iqbal's dream. All the nation started stepping towards the Quaid's formatted direction and reached the destination. The existence of Pakistan is indebted to Jinnah and we will always be obliged to Quaid-eAzam for this. On September 11, we promise our leader Jinnah to contribute however and in whatever possible way we can. We pray to almighty to grant our Quaid a special place in Heaven and heighten the statuses. Amen!


QUAID-E-AZAM (Rehmat Ullah Elaih)

Pakistan aik hai, Quaid-e-Azam aik hai
Quaid ki viraasat hai, yeh Pakistan hamara hai

Iqbal ne jo qaum ka yeh khaab suhana dekha tha
Quaid ne iss khaab ki tabeer suhani di hai

Sabaq diya tanzeem ka, munazzam Muslim League thi ki
Dikha diya phir dunya ko Qaume Muslim zindabad




Khud mei yaqeen paida hua tou dars diya phir qaum ko
Qaum bhi phir jaag uthi, yaqeen-e-muhkam zindabad

Hum ne dekha, sab ne dekha - Dekha sari dunya ne
Jadd-o-juh'ad se haasil kiya Pakistan zindabad



Quaid-e-Azam Zindabad!


Wednesday, September 5, 2012

Pakistan Defence Day (6th September)

Aazad qaumon ki zindagi mein aik aisa lamha zarur aata hai jab unhe apni aazadi ki hifazat ke liay apni janain qurban kerna perti hain. Aazad qaumain her waqt aazadi ke difa ke liaytayyar rehti hain. Aisa hi lamha 6th September, 1965 ko aya jab hum ne saabit kiya keh hum aik zinda qaum hain aur apni aazadi ki aur apne watan ki sarhadon ki hifazat kerna jantay hain. 1965 ki Pak-Bharat jang satra din tuk jaari rahi aur Allah Ta'la ne humain surkharoo kiya. Hum her saal 6th September ko Yaum-e-Difa manatay hain aur iss jang mei shaheed honay walon ko khiraaje tehseen paish kertay hain keh apnon ne apne se kui gunah baray dushman ko jawanmardi se muqaab'la ker ke shikast di. Hamara ser fakhar se buland ker diya.

'Ye Din 65 ke saheedon ke naam'

Dharti ko hum pyar kerain
Naam hai jiska Pakistan

Sar sabzo shadaab hain vaadian
Nagar nagar hai gulistaan

Meelon phaila tapta sehra
Sunata ishq ki daastan

Neela neela iska samundar
Aur taaron bhara aasman

Her zarray se pyar humko
Naam hai jiska Pakistan

Aao hum sab ehad kerain
Jaan apni is per qurban
............................................................

"Yaum-e-Difa humain yaad dilata hai shuhuda' ke jazbay aur josh ka, jisse hum mein kuch bann'ay ka aur mulk o millat ke liay kuch kernay ka jazba paida hota hai."

Tarana


Pakistan zindabad
Yeh dharti hai paak watan phoolon ki zameen
Yeh dharti hai paak watan pur amn zameen
Yeh dharti shadaab chaman jannat ki zameen
Yeh dharti shuhudaa ki zameen
Paak watan ke shaheed zindabad
Pakistan zindabad
Quaid-e-Azam zindabad


  
Utho aey paak watan ki betio!
Ba himmat bano mehnat kero
Qaum ki azmat tum se hai
Dukhter-e-Mashriq bano
Madar-e-Millat bano
Pakistan Zindabad
Quaid-e-Azam zindabad


Uthho aey paak watan ke naujawano
Quaid-e-Azam bano, Bhutto bano
Beto bano, Muhammad bin Qasim bano
Behno ki rida bano
Maon ki azmat bano
Beewion ki hurmat bano, raahat bano
Tipu Sultan bano
Quaid-e-Azam ko tum per naaz ho
Paak watan ke naujawan zindabad
Pakistan zindabad, Quaid-e-Azam zindabad




By Nusrat Hassan
Sunday, September 2, 2012

Murshid

Dedicated to :

Baba Jan Sarkar (Rehmat Ullah Elaih)

  (Murshid is basically a guide, a spiritual teacher, a head of religious order)



Your disciples mention you with love-filled intention
With that they gain strength; such is your mention

Well heighten, beautiful and serene face, what do we say
Such features, such identity; It’s only you we say

Your speech is so universal and your conversation,
No words for that, we are under such affection

When you conversed, we never felt tired though hours passed
Such moonlight from you, your methods were such illumination

We have buried our love you in our hearts as such,
Grand is your respect and grander the disposition


Your memory is a shower of blessings for us
Without it it’s like in the desert
This is your view of grace on us
That, for you, we have such devotion

When I talk of you there is a blossoming inside
This Khizri garden may smile forever with exhilaration

So many enlighten hearts with your love within
They’ll keep on lighting if there’s your consideration

I urge for an increasing power of pen to show your education
My poetry may effect on hearts, I’ll be your secret association

No complaints from anyone and I may remember your deeds
Stray may come to right path; with such integrity is your mention

My writing and poetry affect all wherever it stretches to
The anniversary brightens eternal, your nest at pacification

My life is the attendance to your threshold
The spirit of attachment is only because of your court association

Tuesday, May 29, 2012

Naiy Saal ko Khush Aamded kahain


Let's welcome all new years to come


Ao naiy saal ko khush aamded kahain hum
Naiee ummeedon ki chahat aur khushion ke sath

Badal dalain puranay khado-khaal ki siah raat ko
Naiy saal ke suraj ki haseen kirnon ke sath

Jo kotahian aur khamian reh gaieen kuch
Dur ker len naiee koshishon aur himmaton ke sath

Ao apnay bachon ko madad den agay barhnay mei hum
Chhor andheray chalain sitaron ki roshnion ke sath

Naiy saweray muntazir rehtay hain unke
Jo barhain josh-o-jazbay aur walwalon ke sath

Zara sa agay barhnay ki der hai saathio!
Manzil pao ge tum naiee rahain talaashnay ke sath

Ifaq ke uss paar naiy jahan intezar kertay hain
Qaum barhao, pao ge khud ko naiee dunya ke sath

Zindagi apni tou ibarat hai Juhad-e-musalsal se
Jis ne jaan liya hai who hai kaamrani ke sath

Kirdaar ki tameer ka tum khaas dhyaan rakhna
Naiy saal mei qadam rakho badi pakeezgi ke sath

Ao naiy saal ko khush aamded kahain hum
Naiee ummeedon ki chahat aur khushion ke sath

Ik Haseen Basti


Ye dunya dukh sukh ka ik haseen sa sangam hai
Tou kyun na insano ki ik basti basa dalain

Who basti jis mei khoobsurat se bagheechay hon
Tou kyun na iss basti ko jannat si bana dalain

Phir iss basti mei akhuwat bhi jhalakti ho
Thanday meetay pani ki nehrain si bichha dalain

Jahan ilm-o-adab ki shamain hi shamain roshan hon
Khiltay huay phoolon ki nurserian bhi bana dalain

Phoot’tay shagoofon ko aazadi ki fizain hon
Rang barangi titilion ke des bhi saja dalain

Khoobsurat aman ka khitta tou maujood hai
Nusrat apnay hissay ka kuch kaam tou ker dalain

                                     By Nusrat Hassan
Friday, May 18, 2012

'Maa' - Mother's Day

Today I am going to publish my very first poetry on our blog and dedicate this poem to my mother. I intended to post this a few days back on mother's day but I was in my birth place Gujrat with my mother so I am doing it now. Enjoy



Maa tu meri hasti mei jhalakti hai
Maa tu meri rooh mei basti hai

Jahan maa hai woh veerana bahaar hai
Maa ki khushboo mei phoolon ki mehkaar hai

Ger maa kay damm se veerana bahaar hai
Tou socho des ki maain kahan hain

Mere des mei jo figaar-o-fishaar hai
Bhook nang aur zulm ka laga bazaar hai

Jis khittay mei aag kay sholay barastay hain
Tou socho uss khittay ki maa kidher hai

Ager tum khoi maa ko dhoond lao kahin se
Ager tum roothi maa ko mana lo abhi se

Maa tou jannat ha zameen per Khuda ki
Phir kyun yeh hum ko nazar nahi aati

Kya yeh sab betay maa ko pyar nahi kertay
Kya inke dil mei maa nahi rehti

Maa tou Khuda ki rehmaton ka roop hai
Maa mohabbat hai, Mohabbat Khuda hai

Aey mere des kay naujawano!
Tum tou maa hi ko socho her damm

 Keh maa kay damm se yeh arz-e-paak jannat banay

Maa ke damm wadam se jannat mei phool khilain

Tum apni hasti mei basa lo maa ko
Phir jhalak basti ki dikhla do jahan ko

Keh her din hi maa ka din kehlaiy
Her pal iss din ka her dil ko mehkaiy

Aey mere Maula mehka de iss gulistaan ko
Maa ke sadqay aabaad rakh Pakistan ko

Khuda ko aik manain tou hain hum musalmaan
Ho ibadat ager maa ko manain maa


My mother with my husband

Friday, March 23, 2012

My first Blog Post on our big day 23rd March

Yunhi Qaim o Daim rahay paak dharti

Dil hamara yeh naghma gata rahay ga


I start my very post with these poetic lines on this great day. Happy Pakistan Day to everyone. Today I remember all my students from National Finishing School which brings me such beautiful and fond memories and energy till now. Every year I used to be with my colleagues, my very special school's principal dearest Madam Yousaf and all my good students celebrating this day together.

I need all your prayers blessings and wishes of all my loved ones to take off a start for writing blogs. I humbly dedicated my this very first post to all my students. Thank you for all your love and appreciation all this way.


ShareThis