Pages

Thursday, December 27, 2012

5th Death Anniversary of Shaheed-e-Jamhooriat Benazir Bhutto

26th December, 2012 (5th death anniversary of Benazir Bhutto)

Shaheed-e-Jamhooriat Muhtarma Benzair Bhutto ki paanchween barsi ke mauqa per tamam khawateen ko, amooman aur Muslimo Pakistani khawateen ko khasoosan salam pesh kerti hoon. Mai aik aurat hoon aur apni badi izzat aur qadar kerti hoon kyunkeh jo apni izzat aur qadar kerta hai woh doosron ki izzat ko bhi paa leta hai. Tamam auraton ko aurat honay per fakhar kerna chahiay kyunkeh aik aurat aurat aik waqt mei kaiee mahazon per ahsan tareeqay se zim-e-daarian ser anjaam de rahi hoti hai. Yeh durust hai keh aurat ko apni haisiyat manwanay ke liay mard se do gunah mehnat kerna perti hai. Ager khawateen ko thori support mil jaiy tou woh apni koshishon se mushkilaat per qabu per ker waqt ke dharay ko badal sakti hai aur kaamiabi haasil ker sakti hai.

Muhtarma Benzair ka safar hamaray liay rahnumai hai aur humain un per fakhar hai. Woh hamaray liay parion ki shahzadi hai. Hum unhein khiraaj-e-tehseen pesh kertay hain aur jannat mein unke darjaat ki bulandi ke duagoh hain. Maine iss mauqa per aik nazam likhi hai aur nazam ka unwaan hai;





"Pariyon ki Shahzadi"


Ik shahzadi rehti thi pariyon ke ik des mein
Khud bhi thi wo ik pari insano ke bhes mein


Pariyon jaisa rehna sehna tha iss shahzadi ka
Uski thi ik apni jannat jo usne aabad thi ki


Dekh saheli kya kiya hum ne sath iski jannat ke
Aya ik deo lutera jannat uski barbad thi ki


Kuch tou socho, kuch tou samjho, kuch hosh ke nakhun lo
Pehlay maa se bachay chheenay, pir bachon se maa hai chheeni


Kya mila tumhe yeh sab ker ke, ab tou yeh batla jao
Chaen ki neend tum sotay ho kaisay ger tum insan bhi ho


Kahan se chali thi woh shahzadi kya kya usne kaam kiay
Fakhar ho jisper dunya ko, aurat ko aisi shaan hai di


Mardon jaisa hausla uska, khud bhi jawan mard thi
Pakistan ki beti thi woh, mulk ki woh pehchaan thi


Jab usne yeh thaan liya qaum ki qismat badlay gi
Khatron se woh larr gaiee, jaan ki bhi parwah na ki


Utho jaago mere bhaiyo! Pakistan hamara hai
Shumalan janooban sab dharti, aisi sachi soch thi di


Mulsim dunya ki woh pehli khatoon wazir-e-aazam thi
Dukhter-e-mashriq Benazir yakjehti Pakistan ki thi


Bibi shaheed ka paighaam hum kabhi na bhoolain ge
Darjaat uske buland hon, hum ne yeh dua hai di 
(Aamin!)

0 comments:

Post a Comment

ShareThis