Pages

Wednesday, March 23, 2016

23rd March - Yaum-e-Pakistan

Meri taraf se aap sabko yaum-e-Pakistan mubarik ho. Aazadi ki taraf amali taur per pehla qadam utha liya gaya tha; 23 March, 1940. Jiske nateejtay mein Allah Ta'la ne 14th August, 1947 ko humain khoobsurat watan ata kiya. Allah isay ta qayamat qaim rakhay. Amin

















Aaj ke din aik pyari si nazam -

YAUM-E-PAKISTAN


23rd March ka yeh din
Hai yaum-e-Pakistan

Tum sabko ye mubarik
Hai yaum-e-Pakistan

1940 mei ye tha aik din
Khushiyon bhara 23rd March ka din

Sadarat mei Quaid-e-Azam ki
Manto park mei hua tha ijlas

Sab mil ke baithay thay uss din
Hui thi paas qarardaad-e-Pakistan

Faisla kiya tha sab ne uss mein
Ban ke rahay ga Pakistan

Aao mil ke yeh dua kerain
Isko kisi ki nazar na lagay

Shaad rahay Aabad rahay
Hamara pyara Pakistan

23rd March ka yeh din
Hai yaum-e-Pakistan

                          PAKISTAN ZINDABAD!

Monday, December 21, 2015

Jannat se Aik Khatt! (A Letter from Heaven)

Black Day (16-12-2015)

Ye Saniha 16th December, 2014 ko Pakistan ki tareekh ko sogwaar bana gaya. Aaj ke din hum Army Public School Peshawar ke saniha ke masoom shuhuda ke gham mei doobay huay hain. Koi dil aisa nahi hai jo khoon ke aansu na ro raha ho. Saal guzer gaya hai magar Khuda gawah hai keh 16th December, 2014 se 16th December, 2015 tuk koi din aisa nahi tha jab apni bebasi per matam na kiya ho. Hum se kya ghalati ho gaiee jiski padaash mei yeh zulm hua.



Tamaam school ke bachay hum se poochhtay hain keh hamara qasoor kya tha keh hamaray saathion ki aik darasgah ko aik maqtalgah bana diya gaya. Main jawab se qasir sochon mei gum thi keh yakayuk aik masoom sa farishta meri taraf badha aur aik khatt mere haath mei thama ker ghaib ho gaya. Yeh khatt aik paighaam hai.



________________________________________________________________________________

"Mere Pyaray Dosto!

Mai in bachon se mukhatib hoon jo kabhi mere sath, ya yun kehna munasib ho ga keh mai unke sath parhta tha aur aisay hi tamam Pakistani bachon se jo subha school janay ki tayari kertay hain; Mai yahan jannat ke aik baagh mein apnay doston ke sath hoon. Hamaray sath hamari teachers bhi hain jo humain dekh ker muskurati hain, Her taraf phool hi phool hain. Baghaat mei doodh ki nehrain behti hain. Her taraf noor ki shuaain jis cheez per parti hain woh heeray moti ki tarha chamak jati hai. Achay kaam aur achi soch ke jo loag iss dunya se Allah ke paas aa jatay hain woh hoorain ban jatay hain.

Mai yahan jannat mei kaisay pohancha mujhe sab yaad hai. Junhi uncle nein goliyaan chalaien mujhe farishton ne thaam liya aur jannat mei daal diya. Magar goliyaan chalanay walay uncle yahan per nahi hain. Ager goliyaan chalanay walay ya bomb pharnay walay logon ko jannat milay tou phir woh uncle bhi hamaray sath hotay.



Mere dosto aap abhi iss duniya mein ho. Jo loag gola barood ki training apnay gang ko masoom bachon ya nihattay loagon per chalanay ke liay detay hain aur batatay hain keh unhe jannat milay gi aur wahan hoorain milain gi. Woh jhoot boltay hain. Aap in logon ko mera paighaam do kwh woh aisa na kerain. Jo loagon ko maartay hain. Schools masjidon aur bazaron mei khudkush hamlay kerwatay hain un loagon ko koi jannat nahi milti. Ager aisa hota tou goliyaan marnay walay uncle
hamaray sath jannat mei hotay. Aap sab loagon ko ghar ghar mera paighaam pohancha do. Bomb blast aur goliyaan chalanay se jannat dozakh mei tabdeel ho jati hai. Jo dunya ko dozakh banatay hain Allah unko jannat nahi deta!



Thursday, August 13, 2015

Pyaray Shaheed Bachon ke Naam! - Pakistan Independence Day

Tamam Pakistanio ko (Chahay woh mulk mei hain ya mulk se bahir) Yaum-e-Aazadi mubarik ho. Rabbe Kareem hum sab ka Haami-o-Naasir ho. Aamin!

2014 hamaray bachon ke liay bada hi takleef deh raha hai. Aaj mai yaum-e-aazadi un logon ke naam kerna chahti hoon jinho ne apni zindagiyaan Pakistan ke liay waqf ker deen aur qurban ker deen. Hum shaheed bachon aur doosray shuhadaa ko nahi bhoolay. Saniha Peshawar ke bachay hon ya saniha Kasur ke ya saniha Model Town ke shaheed; hum kisi ko nahi bhoolay. Kisi bhi qaum ke liay ye baat badi sharamnaak hai keh woh apnay bachon ki jaan aur izzat ki hifazat na ker sakay.











Aik ustaad honay ke naatay tamam muhteram assaatza se darkhwaast kerti hoon keh bachon ko Pakistan ka qaumi tarana 'Paak ser zameen shaad baad' zarur sikhayen. Hum ne Pakistan badi qurbanion se haasil kiya hai. Iss naimat ki qadar kerna batayen.
Pakistan Zindabad!

Monday, April 6, 2015

36th Death Anniversary Bhutto - April 5, 2015

Maqam Faiz koi rah mein jacha hi nahin 
Jo koo-e- yaar se nikle to soo-e- daar chale

Lagta hai keh yeh sher Zulfiqar Ali Bhutto ke liay hi likha gaya hai kyun keh woh awam ke jhurmat se nikal ker daar pe charh gaiy. Jab woh sochtay thay tou lagta tha keh woh soch hamari hai. Jab woh baat kertay thay tou lagta tha keh baat hamari hai.
Aisa kaun hai jo iss mayaar pe aiy? Yaqeenan koi nahi. Aisa smart, chauq-o-choband, zaheen fateen jo apnay sath sath ummat e muslima ke baray mei bhi sochay.







Tum per hazaar naimatein nazil hon. Tumhare darajaat buland hon. Kasmaparsi kay iss daur mein tum bohot yaad aiy. 

Tum her sachay Pakistani ke dil mei ho aur aabad raho ge. Kaash mai tumhari tarha apni qaum ke liay kuch ker sakoon. Tum hamaray her dil azeez rehnuma ho.

Bhutto Zindabad!
Friday, July 18, 2014

Falasteen ke Musalmano ke liay Izhaar-e-Yukjehti - (A Tribute of Soldarity for the Palestinians)

Musalman aik jism ki maanand hain. Jis tarha jims ka koi uzv mubtilai-e-alm ho tou jism aaram nahi ker sakta bilkul usi tarah Muslim dunya ke kisi konay mein bhi reh raha ho tou doosray Musalman ki takleef  mehsoos kiay baghair nahi reh sakta. Hum Falasteen per Israel ke zulm dhanay janay per dukhi hain aur un ke dukh ka azaala honay tuk unke sath kharay hain. Maine aik chhoti se nazm mei soorat-e-haal ko wazih kernay ki koshish ki hai. Ummeed hai naujawan nasal kuch na kuch zarur samajh jaiy gi.




'Falasteen (Palestine) ke Musalmano ke Naam'

Aey Masjid-e-Aqsa! Hamari khushiyaan tou tere sath hain
Teri azmat ko hum salaam kertay hain
 Lahoo lahoo hamara Ramzan hai
Tere Shaheedo ko hum salaam kertay hain

Bani Israel mei hai kitni insaaniyat
Yeh tou Quran ne farma diya hai

Anbiaa (A.S) jab haq ki baat batatay thay
Yeh un ka tamaskhar uratay thay

Yeh tou Nabiyon ko qatal kertay thay
Khuda ke yeh sakht nafarmaan hain

Apni sarisht tou yeh nahi chorain ge
Hum tou Allah ke karam ke talabgaar hain

Apnay haq ke liay datay raho tum
Hum ik yukjehti ka kertay izhaar hain

                                                                                                    by Nurat Hassan
Wednesday, July 16, 2014

Ramzan Mubarik 2014

Pyaray Pakistan - 

Kafi arsa ke baad dobara likhnay ke liay waqt nikalnay ki bharpur koshish ki ja rahi hai ta keh taaza dam ho ker likhnay likhanay ka manqata silsala bahaal kerun. Iss tehreer mei Ramzan ul Mubarik ke babarkat maheenay mei mauqay ki munasibat se aaghaz kerti hoon aur aap sabko Ramzan ki rehmaton aur fayyuz-o-barkaat ki baarishon se mustafeed honay ki dua deti hoon. Allah Ta'la se istadaa hai keh Apnay Habeeb Hazrat Muhammad (Sallala Ho Elaihi Wasallam) ke sadqay hum sab per Apna karam farmain aur her Musalman ko taqat ata kerain keh jis maqsad ke liay issay dunya mei bheja gaya hai woh zimmedaari anjam de aur Ramzan ke barkat walay maheenay mein Ummat-e-Muslima ki kotaahion aur khataon ko muaaf kerain aur hum sab ki maghfirat kerain.
                                                          (Amin)


'Jashne Istaqbal-e-Ramzan'

Hum Istaqbal-e-Ramzan kerain
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Barkat wala yeh maheena hai
Iski azmatein bayaan kerain

Shaan-e-Ramzan tou yeh hai dosto!
Is mei humain ata Pakistan hua
Sabse badh ker yeh ehsaan hai
Keh iss maah mei nazool-e-Quran hua
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

Roza hai sirf Allah ke liay
Wohi deta hai iska ajar
Naimatein hain hazaar hum sab ke liay
Rehmaton ka bhi saaman hua
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

Ramzan mei kero khul ke naikiyaan
Sattar guna hai her naiki ka ajar
Bakhshwa lo sab gunaah apnay
Bakhshish ka bhi farmaan hua
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

Shabe Qadar bhi ismei hui ata
Hazaar shab se badh ker yeh raat hai
Jab farishtey utertay hain zameen per
Fajr tuk salamti ka farmaan hua
Chalo Jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

Mah-e-Sayyaam mei ibadatein kero tum
Rabb ko raazi kernay ka hai maheena
Rayan* rozadaar keh liay hai khula
Nusrat~ Aaqa (S.A.W) ka yeh farmaan hua
Chalo jashn ka ehtamaam kerain
Iski azmatein bayaan kerain

* 'Rayan' Jannat ka woh darwaza hai jo sirf rozadaar ke liay khulta hai' (Quoted by our Prophet P.B.U.H)
Sunday, August 25, 2013

Badi hi Pyari Maa 'Madam Yusaf' ke Naam - Qarz Hai Chaar Phoolon Ka

Tribute to a lady who has been a model role in so many others and my life and whose sole purpose was to educate which was her mission and she succeeded and gained so much love and respect not only as the principal of National Finishing School but as a great benefactor to the teachers, students and her family. May you find a great place in heaven for your golden karma in this world. Ameen!


Aik daur tha jo guzer gaya
Aik zamana tha jo beet gaya

Gaiy dino ko dekho zara
Guzray lamhon ko socho zara

Maa ne jo poda lagaya tha
N.F.S ko badhaya tha

Usi ki tou hum shaakhain hain
Usi ke tou phool pattay hain

Ye jo hum mein rishta hai
Isi ko qaim rakhna hai

Mehnat ka jo rasta hai
Isi pe hum ko chalna hai

Aisay gauhar tou miltay hi nahi
Per isi ko jafa kehtay hain

Zindagi tou fana hai logon
Aisay gauhar ko baqa kehtay hain

Qarz hai tum per chaar phoolon ka
Isi ko shaan-e-wafa kehtay hain

Zaahri surat tou pinhaan ho gaiee
Matti ka dher bus ayaan hai

Aey Maa tu hai jannat ki vaadioun mein
Jahan tu hai jannat wahan hai

                                                      
(Tribute to a mother from Mrs. Hassan and all N.F.S members)

ShareThis